اگر خواب میں حضرت آدم علیہ السلام کو دیکھے تو کیسا ہے؟
Hazrat Imam Ja'far Al-Sadiq r.a ne farmaya kh ager koi shaks ager Adam a.s ko khwab main daikhe to buzargi aur wilayat paye, farman e Haq Ta'alah hai, kh " Adam a.s ne na Farmani ki aur behka, phir is ke Rab ne is ko bargazidah kia aur taubah qabool ki aur hidayat inayat farmai " ( Al Quran ), Aur ager khwab main Adam a.s ko apne sath baat karte huwe daikhe to yeh Ilm e Amoozi ki daleel hai, Farman e Haq Ta'alah hai " Aur Allah ne Adam a.s ko sab naam sikhaye " ( Al Quran ).
Ager khwab main daikhe kh Adam a.s ne ata'at nahi ki hai to yeh is shaks ki nafarmani aur badbakhti ki daleel hai, aur ager daikhe kh Adam a.s ne is ka hat pakda hai to yeh buzargi aur saltanat ki daleel hai.
Related with this topic: Anbia Karam a.s, Hazrat Hawa a.s, Baap
0 Comments
Post a Comment